Pages

Assi ik darwaza mall bethy, nit hoor pasara naie hona Qari ijaz Shakar Garhi

Friday 31 March 2017
Beautiful naat, amazing rhythm, soothing presentation


via ytCropper
Read more ...

ishq, science aur ishq ki science

Wednesday 29 March 2017

ishq

Kehty hain keh ek bar Majnoon k kuch doston ne, jis pathar pr beth kr majnoon Laila ka deedar kia karta tha wo pathar sharaartan Garam kar k rakh diya, #Qais (majnoon) hasab e aadat aa kar usi pathar pr betha, mehve deedar e yaar hua aur kuch dair baad jb uth k jaany laga to doston ne istifsaar kiya k kiya tmhe aaj ye pathar garam nahi laga? to majnoon ne jawab diya, "main laila k deedar me hi itna mehav tha k pathar ki garmi ki taraf mera dhehaan hi nahi gya"

ab agr hm log apny ishq k daawoon aur ibaadaat k andar apny zauq-o inhemaaq ka jaiza lain to boht kuch wazeh ho jaay ga.

 "ishq dar-asal rukawatoon ko uboor kar ky mahboob ko paa leny ka naam hai" jo jitna mehav ho jata hai, duniya-o-ma fi-ha b uski nzr se utny mehv ho jaty jain"

ishq k hissab ka kuliya nisbat-tanasab k saada se usoolon par mabni hota hai yaani jitna ziada mahboob ki yaad ko khud me utaar lo ge utna ziada usko khud me utar'ta mehsoos karo ge...

Rang-e-ishq jab rooh main samaa jata hai
mahboob aap muhib main nazar ata hai

sacha ishq kabhi b be-mool nahi jata, apny andar taseer zaroor rakhta hai, aur ye ishq apni be-paayan taseer ki badaulat kisi ko saahib-e-karaamat bana deta hai to kisi pr asraar-o-ramooz k wo khazaany aashkaar karta hai k sun'nay waly dangh reh jaty hain aur bassa auqat apni kam fehmi ki bina par kamaalat-e-ishq k munkir ho jaty hain.

asal me har baat hr ek k lye nhi hoti.......

khaasaan di gall aamaan agay nien munaasib karni
mithi kheer pakaa muhammad*, kuTiyan agay dharni
[mian muhammad bakhash r.a]

seedhi c bat hai, jo apni tarbiyat, ya kam-fehmi, ya be-zauq halqa-e-arbaab se kasheeda kam-mayigi-e-nukta-sukhani, al-gharaz kisi b amr ki badaulat  ishq aur iski kaifiyat se muta'aruf hi na ho saka, uska ye shikwa hi be-ja hai k usy ishq ki samjh nahi ati, ya ishq hota kiyon kar hai, iski kaifyat kiya hain aur iske assaraat kia hain......

khusrau dariya pareem ka, ulti wa ki dhaar
jo utra so to doob giyo, jo dooba so paar

science aur ishq ki science


Pukhta Hoti Hai Agar Muslihat Andaish Ho Aqal
Ishq Ho Muslihat Andaish To Hai Khaam Abhi

If Intellect is prudent it is considered mature
If Love is prudent it is considered immature still

Be-Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Mein Ishq
Aqal Hai Mehv-e-Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi

Love fearlessly jumped into the fire of Namrud
Intellect is absorbed in the spectacle from roof‐top stil


Ishq Farmouda-e-Qasid Se Subak Gaam-e-Amal
Aqal Samajhi Hi Nahin Maani-e-Pegham Abhi

Love moves fast in action under the messenger’s precept
Intellect has not even understood the Love’s message still

Qalandar-e-Lahore Hazrat allama Iqbal R.A

aksar log ishq ko is lye nhi smjh paaty kiyon k wo ishq ki taujeehat ko nhi smjh paaty, jb k iske bar-akas kamaalat-e-science ko maan'ny me pall bhar ki takheer k bhi murtakib nhi hoty.... aiye zra thori khabar science ki ho jaay:

Mobile Phone:
hazaaron, laakhon meel  k faasilay se (from thousands of miles away) ap ek dosry ki awaaz sun len to ye ek aaam c baat hai, koi fatwa nahi lagy ga, na hi koi isko ajooba kahy ga......

haalan k,  mobile kiya hai? plastic k kuch tukroon ki arrangement, wo b insaani hathon se muratab karda, aur iske kamaalat pr itna naaz

jab keh, insaan kiya hai? maf'hoom: "aur ham ne insaan ko behtreen soorat main banaaya" lehaaza, insaan umooman, aur saahibaan-e-mazaaq-e-aashiqui khusoosan, k ma-bain bina kisi  maadi waseelay k paighaamat ki irsaal o tarseel itni qabil-e-hairat kiyon kar hai?

Hard Disk / Data Storage:
ek chooti c hard-disk, USB device aur ab to cloud storage or any data storage device (maloomat ko zakheera karny ka koi b aala) hazaaron ki tadaad me kitaabon, tasaweer, awaazon ko zakheera kar le to kisi ko koi hairaani nahi hoti, jb keh
agr koi batlaay k kisi ehle muhabbat ko darjanoon kitaabon k hawala jaat, saf'haat aur maTan azbar hy to aksar logon k dil me shak ubhrny lagta hai....

Rockets / Spaceships:
Sainkaroon man wazni rocket ya  spaceship khala me kai saal tak chakar lagaati rahy to koi ungli nhi uthaata, lekin agr koi kisi ehal-e-wafa me se kisi darwesh ka waqiya btaay k kis trha ek hindo jogi ko sudhaarny k lye ek mard-e-darweesh k pa-poosh hawa me urrtay huy us jogi k sar par barsy, to aksar logon ka yaqeen mutzalzal hony lag jata hai.

Camera:
koi camera manazir ki jitni marzi high definition (hd) tasweer kashi kar le us mard-e-darweesh ki nigah ka muqabla nahi kar skta jisy diloon ki sar zameen pr ubharny waaly khayaalat ko bhi parh leny ki khuda-daad salahiyat ata hui ho...

Earth Map:
ek rawayet ka maf'hoom hai k, "ek wali k samny duniya isi trha hoti hai jaisy haath ki hatheeli par raie ka daana, jidhar se chahy mulahiza kary"

google earth, aur is trha ki la-taadaad maps ki services ista'maal kar k ap choty se "smartphone" me pori duniya mulahiza kar len to koi bari bat nahi, halan k ap muhtaj hain us maadi waseela k,  aur jiski qalbi aur batini aankhon k parday min-janib ALLAH hatta diye gye hon, uski quwat-e-mushahida ka andaza bhi muhaal hai...

Kafir Ki Ye Pehchan Ke Afaq Mein Gum Hai
Momin Ki Ye Pehchan Ke Gum Iss Mein Hain Afaaq!

A heathen gets distinct by getting lost in life 
Whereas a Muslim true keeps ’bove its brawl and strife.

Qalandar-e-Lahore Hazrat allama Iqbal R.A

Laser:

Insaani Azay badan k "operation" se le kr pahaaron ki chattano ko kaat deny wali laser technology se mar'oob o mutassir logon ka, "nigah-e-mard-e-momin" ki tasseer o kamaalaat ka munkir hona intehaie hairat kheiz amr hy...

Eyesight, Nazar, nigah, ankh ki takat ek mussalima haqeeqat hai jiska idraak beshtar afraad ko hota hy......

Chaahen to ishaary say apnay, kaaya hi palat den duniya ki
ye shaan hai khidmat gaaron ki, SARDAR ka aalam kiya hoga

Fax:
aj fax boht sary logon k lye ek ajoobay se kam nahi, halan k......
He said, 'O Council, which one of you will bring me her throne, before they come to me in surrender?' [Quran 27:38]
An efreet of the jinns said, 'I will bring it to thee, before thou risest from thy place; I have strength for it [Quran 27:39]
and I am trusty.' Said he who possessed knowledge of the Book, 'I will bring it to thee, before ever thy glance returns to thee.' Then, when he saw it settled before him, he said, 'This is of my Lord's bounty that He may try me, whether I am thankful or ungrateful. Whosoever gives thanks gives thanks only for his own soul's good, and whosoever is ungrateful -- my Lord is surely All-sufficient, All-generous.' [Quran 27:40]

mediums of transportation:

ham log apni musafaten tay krny k lye car, hawai jahaz, aur deegar maadi wasayel pr inhessar karty hain lekin ehl-e-ishq hastiyon ko ALLAH tamaam rukawaton se be-niyaz farma deta hai.... Fasily, muqam, waqt, al-gharaz kisi cheez ki muhtaaji baqi nahi rehti

Tu chaahy to har shab ho missaal-e- shab-e Assra
tere liye do chaar qadam arash-e-bareen hai


Video Calling:

Hazrat Umar Farooq Razi ALLAH anhu ka mash'hoor waqiya jis me ap razi ALLAH anhu ne lashkar-e-islaami k sipah saalar ko sainkaroon miles k fasilay se na sirf mulahiza farmaya balkeh jangi hikmat-e-amali ki ek tadbeer samjhai, "ya saariya al jabal" aur unho ne wahan maidan e jang me ap ka ye irshaad sun kar us pr amal kiya aur is trha lashkar -e- islaami ko fatah mili

poultry chicken vs nigaah-e-darweesh 

kuch arsa pehly tk sbhi smjhty thy k ek murghay ko chozy se nou-jawan murgha ban'ny k lye km-o-besh ek saal darkaar hota hai, lekin yehi dauraaniya ab sirf 20 se 25  din tk simat aya hai, isi trha pehly jitna fasila tay krny me kai kaie maheenay lag jaya karty thy, ab us se kahen ziada fasila kuch ghantoon me tay ho jata hai................
is baat me kisi k lye b saamaan e hairat nahi to phir agr kisi ki rafaqat k kuch pall basoorat-e-deegar guzarny waaly kai saal ki mehnat se ziada Samar-awar sabit hon,  ya kisi ki sirf ek nazar se kaaya palat jay aur dil ki duniya me "tabdeeli aa jay" to maan leny kia Qabahat hai sahib?

Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshahi

When through the Love man conscious grows of respect self‐awareness needs,
Though in chains, he learns at once the regal mode and kingly deeds.

Hazrat-e-Iqbal (r.a) 





Read more ...

Gilla o Tashakur ishq e majazi vs ishq e haqeeqi

Wednesday 22 March 2017



{ishq e majaazi} Gilla

ye mazaaj e ashiqi hai, ya meri inteha-e-shauq
jaan leta hon teri har bat tere kalam se pehly

bun'ta hon din bhar gham-e-yar ki maala
jalty hain diye ankhon me sar-e-sham se pehly

adhora hi rahy ga qisa e barbadi e hasti
sun le k nhi hoga biyan tere naam se pehly

[ mian mohsin ] 22-03-2017



{ishq e haqeeqi} Tashakur

hoty hain javed tere naam pe mar kar tere aashiq
adou tere be deed, be daad hi mar jaty hain

behr-e-zulmaat main khaty hain dubkiyan tere munkir
tere deewano k sab kaam, taa dawaam sanwar jaty hain


[ mian mohsin ] 22-03-2017



Meanings of difficult words:
Javed = ever lasting, deed = witness / view, daad = appreciation, behr e zulmaat = sea of darkness, taa = till, dawaam = ever, (infinity)   


Read more ...