ASRAAR-E-ISHQ
This blog tends to reveal the mystry behind ishq(devine love) n depicts a picture in litral,philosophical and metaphorical meaning that overwhelms a reader with its true assence.
ishq, science aur ishq ki science
Wednesday 29 March 2017
ishq
Kehty hain keh ek bar Majnoon k kuch doston ne, jis pathar pr beth kr majnoon Laila ka deedar kia karta tha wo pathar sharaartan Garam kar k rakh diya, #Qais (majnoon) hasab e aadat aa kar usi pathar pr betha, mehve deedar e yaar hua aur kuch dair baad jb uth k jaany laga to doston ne istifsaar kiya k kiya tmhe aaj ye pathar garam nahi laga? to majnoon ne jawab diya, "main laila k deedar me hi itna mehav tha k pathar ki garmi ki taraf mera dhehaan hi nahi gya"ab agr hm log apny ishq k daawoon aur ibaadaat k andar apny zauq-o inhemaaq ka jaiza lain to boht kuch wazeh ho jaay ga.
"ishq dar-asal rukawatoon ko uboor kar ky mahboob ko paa leny ka naam hai" jo jitna mehav ho jata hai, duniya-o-ma fi-ha b uski nzr se utny mehv ho jaty jain"
ishq k hissab ka kuliya nisbat-tanasab k saada se usoolon par mabni hota hai yaani jitna ziada mahboob ki yaad ko khud me utaar lo ge utna ziada usko khud me utar'ta mehsoos karo ge...
Rang-e-ishq jab rooh main samaa jata hai
mahboob aap muhib main nazar ata hai
sacha ishq kabhi b be-mool nahi jata, apny andar taseer zaroor rakhta hai, aur ye ishq apni be-paayan taseer ki badaulat kisi ko saahib-e-karaamat bana deta hai to kisi pr asraar-o-ramooz k wo khazaany aashkaar karta hai k sun'nay waly dangh reh jaty hain aur bassa auqat apni kam fehmi ki bina par kamaalat-e-ishq k munkir ho jaty hain.
asal me har baat hr ek k lye nhi hoti.......
khaasaan di gall aamaan agay nien munaasib karni
mithi kheer pakaa muhammad*, kuTiyan agay dharni
[mian muhammad bakhash r.a]
seedhi c bat hai, jo apni tarbiyat, ya kam-fehmi, ya be-zauq halqa-e-arbaab se kasheeda kam-mayigi-e-nukta-sukhani, al-gharaz kisi b amr ki badaulat ishq aur iski kaifiyat se muta'aruf hi na ho saka, uska ye shikwa hi be-ja hai k usy ishq ki samjh nahi ati, ya ishq hota kiyon kar hai, iski kaifyat kiya hain aur iske assaraat kia hain......
khusrau dariya pareem ka, ulti wa ki dhaar
jo utra so to doob giyo, jo dooba so paar
science aur ishq ki science
Pukhta Hoti Hai Agar Muslihat Andaish Ho Aqal
Ishq Ho Muslihat Andaish To Hai Khaam Abhi
If Intellect is prudent it is considered mature
If Love is prudent it is considered immature still
Be-Khatar Kood Para Aatish-e-Namrood Mein Ishq
Aqal Hai Mehv-e-Tamasha-e-Lab-e-Baam Abhi
Love fearlessly jumped into the fire of Namrud
Intellect is absorbed in the spectacle from roof‐top stil
Ishq Farmouda-e-Qasid Se Subak Gaam-e-Amal
Aqal Samajhi Hi Nahin Maani-e-Pegham Abhi
Love moves fast in action under the messenger’s precept
Intellect has not even understood the Love’s message still
Qalandar-e-Lahore Hazrat allama Iqbal R.A
aksar log ishq ko is lye nhi smjh paaty kiyon k wo ishq ki taujeehat ko nhi smjh paaty, jb k iske bar-akas kamaalat-e-science ko maan'ny me pall bhar ki takheer k bhi murtakib nhi hoty.... aiye zra thori khabar science ki ho jaay:
Mobile Phone:
hazaaron, laakhon meel k faasilay se (from thousands of miles away) ap ek dosry ki awaaz sun len to ye ek aaam c baat hai, koi fatwa nahi lagy ga, na hi koi isko ajooba kahy ga......
haalan k, mobile kiya hai? plastic k kuch tukroon ki arrangement, wo b insaani hathon se muratab karda, aur iske kamaalat pr itna naaz
jab keh, insaan kiya hai? maf'hoom: "aur ham ne insaan ko behtreen soorat main banaaya" lehaaza, insaan umooman, aur saahibaan-e-mazaaq-e-aashiqui khusoosan, k ma-bain bina kisi maadi waseelay k paighaamat ki irsaal o tarseel itni qabil-e-hairat kiyon kar hai?
Hard Disk / Data Storage:
ek chooti c hard-disk, USB device aur ab to cloud storage or any data storage device (maloomat ko zakheera karny ka koi b aala) hazaaron ki tadaad me kitaabon, tasaweer, awaazon ko zakheera kar le to kisi ko koi hairaani nahi hoti, jb keh
agr koi batlaay k kisi ehle muhabbat ko darjanoon kitaabon k hawala jaat, saf'haat aur maTan azbar hy to aksar logon k dil me shak ubhrny lagta hai....
Rockets / Spaceships:
Sainkaroon man wazni rocket ya spaceship khala me kai saal tak chakar lagaati rahy to koi ungli nhi uthaata, lekin agr koi kisi ehal-e-wafa me se kisi darwesh ka waqiya btaay k kis trha ek hindo jogi ko sudhaarny k lye ek mard-e-darweesh k pa-poosh hawa me urrtay huy us jogi k sar par barsy, to aksar logon ka yaqeen mutzalzal hony lag jata hai.
Camera:
koi camera manazir ki jitni marzi high definition (hd) tasweer kashi kar le us mard-e-darweesh ki nigah ka muqabla nahi kar skta jisy diloon ki sar zameen pr ubharny waaly khayaalat ko bhi parh leny ki khuda-daad salahiyat ata hui ho...
Earth Map:
ek rawayet ka maf'hoom hai k, "ek wali k samny duniya isi trha hoti hai jaisy haath ki hatheeli par raie ka daana, jidhar se chahy mulahiza kary"
google earth, aur is trha ki la-taadaad maps ki services ista'maal kar k ap choty se "smartphone" me pori duniya mulahiza kar len to koi bari bat nahi, halan k ap muhtaj hain us maadi waseela k, aur jiski qalbi aur batini aankhon k parday min-janib ALLAH hatta diye gye hon, uski quwat-e-mushahida ka andaza bhi muhaal hai...
Kafir Ki Ye Pehchan Ke Afaq Mein Gum Hai
Momin Ki Ye Pehchan Ke Gum Iss Mein Hain Afaaq!
A heathen gets distinct by getting lost in life
Whereas a Muslim true keeps ’bove its brawl and strife.
Qalandar-e-Lahore Hazrat allama Iqbal R.A
Laser:
Insaani Azay badan k "operation" se le kr pahaaron ki chattano ko kaat deny wali laser technology se mar'oob o mutassir logon ka, "nigah-e-mard-e-momin" ki tasseer o kamaalaat ka munkir hona intehaie hairat kheiz amr hy...
Eyesight, Nazar, nigah, ankh ki takat ek mussalima haqeeqat hai jiska idraak beshtar afraad ko hota hy......
Chaahen to ishaary say apnay, kaaya hi palat den duniya ki
ye shaan hai khidmat gaaron ki, SARDAR ka aalam kiya hoga
Fax:
aj fax boht sary logon k lye ek ajoobay se kam nahi, halan k......
and I am trusty.' Said he who possessed knowledge of the Book, 'I will bring it to thee, before ever thy glance returns to thee.' Then, when he saw it settled before him, he said, 'This is of my Lord's bounty that He may try me, whether I am thankful or ungrateful. Whosoever gives thanks gives thanks only for his own soul's good, and whosoever is ungrateful -- my Lord is surely All-sufficient, All-generous.' [Quran 27:40]
mediums of transportation:
ham log apni musafaten tay krny k lye car, hawai jahaz, aur deegar maadi wasayel pr inhessar karty hain lekin ehl-e-ishq hastiyon ko ALLAH tamaam rukawaton se be-niyaz farma deta hai.... Fasily, muqam, waqt, al-gharaz kisi cheez ki muhtaaji baqi nahi rehti
Tu chaahy to har shab ho missaal-e- shab-e Assra
tere liye do chaar qadam arash-e-bareen hai
Video Calling:
Hazrat Umar Farooq Razi ALLAH anhu ka mash'hoor waqiya jis me ap razi ALLAH anhu ne lashkar-e-islaami k sipah saalar ko sainkaroon miles k fasilay se na sirf mulahiza farmaya balkeh jangi hikmat-e-amali ki ek tadbeer samjhai, "ya saariya al jabal" aur unho ne wahan maidan e jang me ap ka ye irshaad sun kar us pr amal kiya aur is trha lashkar -e- islaami ko fatah mili
poultry chicken vs nigaah-e-darweesh
kuch arsa pehly tk sbhi smjhty thy k ek murghay ko chozy se nou-jawan murgha ban'ny k lye km-o-besh ek saal darkaar hota hai, lekin yehi dauraaniya ab sirf 20 se 25 din tk simat aya hai, isi trha pehly jitna fasila tay krny me kai kaie maheenay lag jaya karty thy, ab us se kahen ziada fasila kuch ghantoon me tay ho jata hai................
is baat me kisi k lye b saamaan e hairat nahi to phir agr kisi ki rafaqat k kuch pall basoorat-e-deegar guzarny waaly kai saal ki mehnat se ziada Samar-awar sabit hon, ya kisi ki sirf ek nazar se kaaya palat jay aur dil ki duniya me "tabdeeli aa jay" to maan leny kia Qabahat hai sahib?
Jab Ishq Sikhata Hai Adab-e-Khud Agaahi
Khule Hain Ghulamon Par Asrar-e-Shehanshahi
When through the Love man conscious grows of respect self‐awareness needs,
Though in chains, he learns at once the regal mode and kingly deeds.
Hazrat-e-Iqbal (r.a)
Gilla o Tashakur ishq e majazi vs ishq e haqeeqi
Wednesday 22 March 2017
{ishq e majaazi} Gilla
ye mazaaj e ashiqi hai, ya meri inteha-e-shauq
jaan leta hon teri har bat tere kalam se pehly
bun'ta hon din bhar gham-e-yar ki maala
jalty hain diye ankhon me sar-e-sham se pehly
adhora hi rahy ga qisa e barbadi e hasti
sun le k nhi hoga biyan tere naam se pehly
[ mian mohsin ] 22-03-2017
{ishq e haqeeqi} Tashakur
hoty hain javed tere naam pe mar kar tere aashiq
adou tere be deed, be daad hi mar jaty hain
behr-e-zulmaat main khaty hain dubkiyan tere munkir
tere deewano k sab kaam, taa dawaam sanwar jaty hain
[ mian mohsin ] 22-03-2017
Meanings of difficult words:
Javed = ever lasting, deed = witness / view, daad = appreciation, behr e zulmaat = sea of darkness, taa = till, dawaam = ever, (infinity)
Sada Chiryan Da Chamba Way Babala Assan Udd Jana - Beautifully Sung by Ali Abbas
Wednesday 22 February 2017
Sada Chiryan Da Chamba Way Babala Assan Udd Jana
Dear readers, see the picture with another angle,
though departure of a daughter after her marriage is an emotional part of life for both, the girl who is going to start next phase of her life and for rest of the family but
we can see some other meanings in this poetry as well.
I'm going to present an example of
such a person who've spent his whole life in just this's and that's of ordinary matters,
and unfortunately remained unable to create a strong connection with his Lord
due to any reason:
lack of information, lack or research, or having no guide
or whatever the reason may be,
when he realizes that
he has lost the time
and its time to move to another world.
Here I'm presenting 2 types of meanings of this poetry (3rd one is already well known which we discussed in starting)
1 meaning is for ordinary people (who try to judge everything with brain):
They can take it as,
Suppose if a person who is going to die, what will be his/her feelings.
The 2nd one is for those very few people who think with the thoughts of their beloved
M u r s h i d
for them, this poetry is to realize the phase of their life when they are distracted from the way of their "haadi" (guide)
dhiyan lie pardees way babul
te putraan lie jaageer ay
dukh sehna tay kuj na kehna
dhiyaan di taqdeer ay
(for those who are poor, seeking the way of beloved, it's separation, loneliness, distance for them in this world, and those who are not having a loving soul, have luxuries and joys)
(lovers bear grieves and still never let anyone know)
(Here dhiyan (daughters) are to represent to the seekers, the poor lover)
(puttar (sons) are representing those who are not having any sense of why a MURSHID is necessary)
way saada chiryaan da chamba, way baabula way
assan udd jana, assan udh jaana
jithay khaiday gudiyaan patoolay
jind aj oosay kar wich doolay
kar diyan kunjiyaan saamnbh lay
assan udh jaana, assan udd janaa
saada chiryaan da chambaa
(telling about the world where he spent his life, now going far forever)
bas akhiyon hun roowo naahi
tay kuj nie ban'na royaan
dukh banday de muknay naayoon
te muknay ne mooyaan
bethi janj booha mall kay
hona main pardeesan Palkey
qismat day naal mail ni
assaan udd jaana, assan udd jaana
saada chiryan da chamba, way baabala
(just like the arrival of "Baraat" when someone's "Janazah" is ready, he'd be "stranger" for this world forever.
Guys there is a lot more which can be written about it, but I'm leaving it to you, to think and express your words in comments section.
Looy Looy bhar lay kuriye, jay tudh bhaanDa bharNa
Shaam paie bin shaam Muhammad, ghar jaaNdi ne darna
Kar le jo karna hai, Akhir Maut hai
Aik din marna hai, Akhir Maut hai
(I've not explained it much, because I just wanted to give you an idea, now its your part to do)
[mian mohsin]
Yeh Galiyon ke aawaaraa bekaar kutte - Poem written by Faiz Ahmad Faiz
Tuesday 25 October 2016
Yeh galiyon ke aawaaraa bekaar kutte
Ke bakshaa gayaa jinko zauq-e-gadaai,
Zamaane ki phatkaar sarmaayaa unkaa
Jahaan bhar ki dhatkaar unki kamaai.
Na aaraam shab ko na raahat sawere;
Ghilaazat mein ghar, naaliyon mein basere.
Jo bigde to ek doosare se ladaa-do;
Zaraa ek roti kaa tukdaa dikhaa-do.
Yeh har ek ki thokarein khaanewaale,
Yeh faaqon se uktaake mar jaanewaale,
Yeh mazloom makhlookh gar sar uthaa-e
To insaan sab sarkashi bhool jaaye.
Yeh chahein to duniyaa ko apnaa banaalein,
Yeh aaqaaon ki haddiyaan tak chabaadein.
Koi inko ehsaas-e-zillat dilaa-de,
Koi inki soyee hui dum hilaa-de. (by Faiz Ahmed Faiz)
ruh ki parwaz - istiqamat - consistency wins reward
Thursday 22 September 2016
Subscribe to:
Posts (Atom)