Pages

Ya nabi Salam alaika, Beautiful Salam by Syed Zabeeb Masood, Khalid Hassanain Khalid, Sarwar Hussain Naqashbandi

Thursday, 28 January 2016

Ya nabi Salam alaika, Beautiful Salam by Syed Zabeeb Masood, Khalid Hassanain Khalid, Sarwar Hussain Naqashbandi:





Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika

Habeebi ya Rasool ALLAH (sall-allah-ho-alaihi-wa-ala-aali-hi-wa-sahbihi-wabaarik-wassalam) Aaqa
Dil ko raas bhi tumhi ho
gham shanaas bhi tumhi ho
dil ki aas bhi tumhi ho
dil kay pass bhi tumhi ho

Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika

Teri justaju me jeena
teri aarzu me marna
yehi meri zindagi hai
yehi meri bandagi hai

Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika

Rahmatoon kay taaj waaly
do jahan kay raaj waaly
arash ki mairaaj waaly
aasiyon ki laaj waaly

Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika






Read more ...

har aan ki har shaan ki hain jaan Muhammad (BPBUH)

Wednesday, 20 January 2016
Har aan ki har shaan ki hain jaan MUHAMMAD (BPBUH)
hai bhala kon, nahi jis kay sultan MUHAMMAD (BPBUH)

karty hain jo yaad unko har cheez say zyada
dety hain unko aisa faizaan MUHAMMAD (BPBUH)

dil o jaan to rehty hain munawar unke
aur ban jaty hain unki pehchan MUHAMMAD (BPBUH)

ghar baar hain mu'atar aisy khushbu se inke
ban jain jo inke mehmaan MUHAMMAD (BPBUH)

kion ghabray naar e jahanum say ummati unka
shafee hain apny jab mohsin-e-insaan MUHAMMAD (BPBUH)



(mian mohsin)
21-05-2007


Read more ...

wal kadha kay wali wall hunda

Wednesday, 20 January 2016
wal kadha kay wali wall hunda
jay wal aaway te wall aunda nai

jinhan nu wall ay wal kadhny da
ohna wal fair wal aunda nai

(mian mohsin)
21-05-2007)

*this is not for every one, only a few will get sense


Read more ...

tu sab saharon ka hy sahara

Wednesday, 20 January 2016
tere hoty huy ham khaali nahi hain
tu sab saharon ka hai sahara

deen o dunya ki sarfarazi hogi muqadar apna
MUSTAFA (BPBUH) jo keh den k tu hai hamara

han main jaon ga madinay ik bar to zaroor
mujh ko sapnon me dia mere ishq ne ishara

jan e janat hain madinay ki wo piyari galiyan
jin me basny ko tarasta hai naseeba hamara

sari ummat me ho yak'jaie to milay shun'waie mohsin
ehle dard, ehle nazar sab ka yehi ek ho naara


(mian mohsin)
Read more ...

dukhan pari hayaati wichon

Wednesday, 20 January 2016
Dukhan Pari Hayati wichon ki Khatiya tuun Yara
Bhukhan, dukhan tay tangiyan naal ei karda rya guzara

kon suny ga meri aa ky, kinon ja kay sunaawan
chup chapeeti sehnda rya tuun, rya takda aalam saara

(mian mohsin)


Read more ...

Chal Piyaa ky Des Piyaari, written by mian mohsin

Tuesday, 19 January 2016

Chal Piyaa ky Des Piyaari




Chal piya ky des piyaari , kab tk rahy gi mehmaan

laakhon roop bataay bhi, wo nahi tujh se anjaan

chal piya ky des piyaari...............


Sau Sau sapny dekhy jis ky , tan man us py daan
ik jhalak dikhla ja mohy, piya main tujh pe Qurban

chal piya ky des piyaari................

Batiyaan jalaawat, agar rachaawat, sau sau karat samaan
dil ki saij sajawat ry piya, ab aan karo farmaan

chal piya ky des piyaari............

main bhuli bhat'ki, phirat rahi ,  tosay ban kr chali anjaan
sham dhlat mohy pta chalat, moray sang raht tu sara jahan

chal piya ky des piyaari...............

tori deed karat, mori laaj rakhat, naahi mujh me gun  na giyaan
mohy sath rakhat, bin tory lagat ab mujh ko ye jag sunsaan

Chal Piyaa ky Des Piyaari

( mian mohsin )








Read more ...

Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat Taajdar-e-ins-o-deen Urdu Naat

Tuesday, 19 January 2016
Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat   Taajdar-e-ins-o-deen
dast-basta ham khary hain ay mere maah-e-mubeen

jo khataain hm se huien touba karty hain unse ham
do shifa har marz se ay dafie-al-bala-o-ranj-o-gham

dar tmhara dekhny aayen sab mil kar ham
hmko izn-e-haazri de do mere shah-e-umam

deen-o-duniya me tera daaman rahy hm ko naseeb
rashk-e-shahaan-e-jahaan hy tere dar ka adna ghareeb

apni aur apny piyaron ki muhabbat say hmeen sarshaar kr
apny rang me rang ky hm ko, rang-e-duniya se be-zaar kr

Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat   Taajdar-e-ins-o-deen



Arz Guzaar
(mian mohsin)


Read more ...

apni to saari kahaani muhabbat hy

Thursday, 14 January 2016

apni to saari kahaani muhabbat hy








matti g'r hy jism e adam ka khameer
khameer e rooh e insaani muhabbat hy


aalam e arwah sy mahshar ka safar mohsin
apni to saari kahaani muhabbat hy


Read more ...

Asal Cheez Muhabbat hai - Paighaam e tassawuf

Thursday, 14 January 2016

Asal cheez muhabbat hai - Paighaam e tassawuf:



asal cheez muhabbat hy
usi muhabbat se ALLAH ne hmari rooh paida ki
hmari rooh ko ALLAH ka qurb hasil tha
iblees ko ye baat ek aankh nahi bhaati thi


alastu bi rabikum k jawab me balaa kehny k baad
hmaari muhabat ko parakhny k lye
rooh ko jasad-e-khaaki me muqeed kia gya
hme zameen p utaar kr hijar me mubtila kiya gya
ta k pta chly kis rooh ki muhabat phir se joosh maarti hy, wapasi ki rah dekhti hy
kon bhool bhaliyon me, rangeeniyon me khooya rehta hai


ham beshumaar baaton, dhandhoon ki bhool bhalaiyon me uljhaay gye,
iblees ne b kamar kas li k is khaaki insaan ko itni fursat hi nahi muyasar hony donga
 k usme muqeed roh apny mahboob ko pehchan skay aur uski trf jaa pay


lekin ye sb muhabat berhaany k tareeqy thy


bhool-bhulaiyon me uljhy huown ko manzil tk le jany k lye boht se haadi bheejy gye
kis ne bhejy
wohi jo mahboob hy
wohi jo maqsood hy
wohi jo matloob hy

phir us ne unko hadi bna k bheja

wohi jo uska mahboob hy
wohi jo uska mahmood hy

jin logon ne apni marziyon aur tabiyatoon ko usky hukam k taabey kia wo manzil tk pohnchny lgy
aur jo us mahboob-e-mahboob-e-haqeeqi, ki be-adabi k murtakib huy, wo na to manzil pa sky
na muhabat k raz smjh sky aur na un bad'nseebon ko skoon muyasar hua


dar-asal wo ye samjh na skay k agr sirf aamaal se nijaat hoti to iblees ruy-e-zameen k chapy chapy pr sar-ba-sajood  reh kr b mardood q hua
bara zoum tha usko b, k wo khuda se muhabbat krta hai, aur sirf usi se krta hy

dar haqeeqat wo apny un aamaal k girdaab me phansy rhty hain jin se kahen ziada aamaal iblees k paas thy,

us k pas boht ibaadat thi, lekin us ne adam ko ALLAH ka diya hua muqaam qabool krny se inkar kia, nateejatan  mardood thehra

in k paas kitni ibaadat hy, kitni riyazat hy, aur ye mahboob-e-khuda ko ALLAH ki ata karda shaan k inkaari hain  nateeja kiya hoga...........

baat sirf itni hy, adab kro, itibaa kr sko ge, itibaa kro ge to manzil pa jao ge jo k uska rasta, uski muhabbat hy
asal cheez muhabat hai


muhabbat me itaa'at na ho to sirf daawa
aur

itaa'at me muhabbat na ho to niraa dhoong, sawaang, behroop

nijat sirf muhabbat me hy....

q k

asal cheez muhabat hai





1-14-2016, 3:13 PM 
Paighaam-e-tassawuf

Mian mohsin
Read more ...