Pages

ishq meri zndgi ka kul asaasa aur kul khulaasa hai

Sunday 9 November 2014

ishq meri zndgi ka kul asaasa aur kul khulaasa hai




ASRAAR-E-ISHQ

Kal barson baad ya najanay sadion baad, chaltay huay ya shaid bhataktay huay  jb zndgi ki tapti chaon ne mujhe is qadar nidhal kr dia ,to chand lamhon k lye to jaisay meri nazron k samne andhaira cha gya ho,goya k meray muqadar ki saari seyahi yak dm mujh pr undail di ho,fiza mein jaisay ek lamhe k lye sb kuch sakt ho gya ho.aur khyalaat munjamid ho gyay hon.mein kya thehra laga kul kainaat he thehr gye ho.raah ka jb jaiza lia to koi shajar dikhae ne dia.apne he saye tallay chand lamhey sastaanay laga.zehn ne zndgi k auraaq ko paltaana shuru kia,haqeeqat-e-khwaab mein khwab haqeeqat pazeer hua.sach mein mein sehen paar karta hua maazi k dalaan mein phunch chukka tha.jis k ain wast mein soch ka pathar girra to door door tak khyalaat ki leher bikhair gya.najaanay woh khyal kaisay kaisay sawalaat lye huay thay.ek sawaal ka jawaab milta to najanay kitne unginnat sawaal ro-numa ho jaatay.khair aik waqt aisa aya k mein ne apni he zaat ko saraapa sawalia nishaan paya.pr in sawalaat ki kashmakash mein,mn ulaghta he challa gya.fiqr-o-shaor aur amal ki dunia ka faasla sirf aur sirf yaqeen se tey hota hai.agar fiqr-o-shaor yaqeen ki wadion mein bhatak jaye,to woh amal amar ho he jaata hai.

Aur insaan bhi sadion se apni mansha ka ghulaam hai,jo manzar, nazar ko bha jaye,ussi shak k gumaan ko yaqeen k killay pr kaim kr laita hai.pr yeh shaq ka tasalsul yaqeen k zawyiay pr a k toot he jaata hai,jahan yaqeen khud ko wehdat se mansoob kr ho jaata hai aur wehdat ki rawayat hai khud ko ishq se munsalik karta hai,bs yhi,yhi ishq he to woh anjaam-e-aghaaz hai jahan tamaam zndgi ek pal mein jee li jaati hai,ya aik pal mein tamaam sadian kaid ho jaati hain.han yeh ishq he to qyaas ka aisa gehra samadar hai jo kainaat k tamaam razo-neyaaz apne ander samoye huay hai.yeh lafz khud mein he apna,aap byaan karne k lye kaafi hai.ishq ka ain amal hai,sheen shiddat aur kaaf kabooliat.aur agar amal mein is qadar shiddat ho to who qabooliat ki mairaaj ko qeun kr  na phunchay.

Bs ishq k mamulaat he kuch aisay hain,is se aashnai kuch is hadd tk he ho paati hai k idher zulm ki ibteda hoti hai to udher sa sabr ki inteha ho jaati hai.,idher rooh ghail hoti hai to udher rooh raishay raishay tk chalni ho jaati hai..Ishq ka tibaadla insaan se us ki fana ka hai.aur yhi amar rooh ko pakeeza krne k lye yaqeeni hai..aur jo is manzil tak phunch gya to samjho us ka baira paar.

Yeh mamlaat is qadar ajeeb tr hotay challay jatay hain ,jahan bhut kuch kehne ki koshish mein kuch bhi nhe kaha jaata aur kabhi kuch na kehne ki sae mein sb kuch sar zad ho jaata hai.pr deewanay ki aur khirad se be gaanay ki barbaraahat ko wohi samagh paatay hain jo waqif-e-raaz hon.

Aaj barson baad mein qudrat k khail se roshnaas hua,jahan haqeeqat-e-makhfi ko paaya.najanay yeh qudrat bhi ishq mein kaisay kaison ko apna hm raaz bna laite hai.woh shaks jis ne madrassay mein chand safeh bhi kaalay nhe kiay hon ge.dor janglon mein weeranay mein bakrion ka rawarh chara rha ho  ga.ya yeh raaz us pr ayan ho ga jo jog lye,dunya tyaag kr,jaaray ki sard raat mein,jhund k neechay,barsaat mein apna tn mn bhigo rha ho ga.apni masti mein mast malang.sr mast qalandar.

WAH RE QUDRAT TERAY KHAIL

Hm bhalla marsadiez mein sawaari karne waalay aur lemozine mein farratay bharne waalay kahan in sb se waqif hn ge?bhala hm log jo unchi emaarat pr kharray ho k ,hr neechay se guzarne walay ko hiqarat ki nazron se daikhtay hain,bhala hm sb kahan in sb maamlat se aashna hn ge?parties mein daaru peenay waalay ,nasha karne waalay .jo khud ko arzi nashay aur mustaqil gunnah k boaj tallay daba laitay hain.woh kya jaanay ishq-e-elahi k jam ka nasha,jis ko peenay se bhi pyaas nhe bhujti.woh tashna kahan jae aur  pee kr bhi kahan jana????bs ird gird mein nasha tehleel honay lagta hai,fiza mein ek ajab saroor,sur aur ley ki meethi si taqraar ka millan.

Mein naara-e-mastaana,mein shoq yeh rindaana.
Mein naara-e-mastaana,mein shoq yeh rindaana.

Us mastaanay k ander is qadar alau jo jal jal kr aag mein kundan bna rha hai.jis ki agar zara brabar ramaq bhi bahar niklay to woh sb kuch jala kr khaak satar kr de gi.koi bhi is toppish ki tab nhe la sakta.

Ishq mein khud ko fana kr daina ,hr manzar mein wehdat ka aks .mera ander vi tu,mera bahar vi tu.mainda ishq vi tu,mainda yaar vi tu.mera mein vi tu,mera tu vi tu,ranjha ranjha kardi ni mein aapay raanjha hoe.

Bs yhi manzil,yhi tamaam ibadaton aur reazaton ka haasil hai,yhi lazawaal aur lamehdood haqeeqat hai.aur yhi sach hai.

Bs yhi meray dill ka ehsaas aur kafiat hai,yhi mera maazi aur yhi mera haal hai,yhi meray safar ka parao aur manzil hai,mukhtasir yeh k yhi meri zndgi ka kul asaasa aur kul khulaasa hai.

(written by : Khaak ) 

No comments:

Post a Comment