Pages

Yeh Galiyon ke aawaaraa bekaar kutte - Poem written by Faiz Ahmad Faiz

Tuesday 25 October 2016

Yeh galiyon ke aawaaraa bekaar kutte
Ke bakshaa gayaa jinko zauq-e-gadaai,
Zamaane ki phatkaar sarmaayaa unkaa
Jahaan bhar ki dhatkaar unki kamaai.
Na aaraam shab ko na raahat sawere;
Ghilaazat mein ghar, naaliyon mein basere.
Jo bigde to ek doosare se ladaa-do;
Zaraa ek roti kaa tukdaa dikhaa-do.

Yeh har ek ki thokarein khaanewaale,
Yeh faaqon se uktaake mar jaanewaale,
Yeh mazloom makhlookh gar sar uthaa-e
To insaan sab sarkashi bhool jaaye.
Yeh chahein to duniyaa ko apnaa banaalein,
Yeh aaqaaon ki haddiyaan tak chabaadein.
Koi inko ehsaas-e-zillat dilaa-de,
Koi inki soyee hui dum hilaa-de. (by Faiz Ahmed Faiz)


No comments:

Post a Comment