ishq meri zndgi ka kul asaasa aur kul khulaasa hai
ASRAAR-E-ISHQ
Kal barson baad ya najanay sadion
baad, chaltay huay ya shaid bhataktay huay
jb zndgi ki tapti chaon ne mujhe is qadar nidhal kr dia ,to chand lamhon
k lye to jaisay meri nazron k samne andhaira cha gya ho,goya k meray muqadar ki
saari seyahi yak dm mujh pr undail di ho,fiza mein jaisay ek lamhe k lye sb
kuch sakt ho gya ho.aur khyalaat munjamid ho gyay hon.mein kya thehra laga kul
kainaat he thehr gye ho.raah ka jb jaiza lia to koi shajar dikhae ne dia.apne
he saye tallay chand lamhey sastaanay laga.zehn ne zndgi k auraaq ko paltaana
shuru kia,haqeeqat-e-khwaab mein khwab haqeeqat pazeer hua.sach mein mein sehen
paar karta hua maazi k dalaan mein phunch chukka tha.jis k ain wast mein soch
ka pathar girra to door door tak khyalaat ki leher bikhair gya.najaanay woh
khyal kaisay kaisay sawalaat lye huay thay.ek sawaal ka jawaab milta to najanay
kitne unginnat sawaal ro-numa ho jaatay.khair aik waqt aisa aya k mein ne apni
he zaat ko saraapa sawalia nishaan paya.pr in sawalaat ki kashmakash mein,mn
ulaghta he challa gya.fiqr-o-shaor aur amal ki dunia ka faasla sirf aur sirf
yaqeen se tey hota hai.agar fiqr-o-shaor yaqeen ki wadion mein bhatak jaye,to
woh amal amar ho he jaata hai.
Aur insaan bhi sadion se apni mansha
ka ghulaam hai,jo manzar, nazar ko bha jaye,ussi shak k gumaan ko yaqeen k
killay pr kaim kr laita hai.pr yeh shaq ka tasalsul yaqeen k zawyiay pr a k
toot he jaata hai,jahan yaqeen khud ko wehdat se mansoob kr ho jaata hai aur
wehdat ki rawayat hai khud ko ishq se munsalik karta hai,bs yhi,yhi ishq he to
woh anjaam-e-aghaaz hai jahan tamaam zndgi ek pal mein jee li jaati hai,ya aik
pal mein tamaam sadian kaid ho jaati hain.han yeh ishq he to qyaas ka aisa
gehra samadar hai jo kainaat k tamaam razo-neyaaz apne ander samoye huay hai.yeh
lafz khud mein he apna,aap byaan karne k lye kaafi hai.ishq ka ain amal
hai,sheen shiddat aur kaaf kabooliat.aur agar amal mein is qadar shiddat ho to
who qabooliat ki mairaaj ko qeun kr na
phunchay.
Bs ishq k mamulaat he kuch aisay
hain,is se aashnai kuch is hadd tk he ho paati hai k idher zulm ki ibteda hoti
hai to udher sa sabr ki inteha ho jaati hai.,idher rooh ghail hoti hai to udher
rooh raishay raishay tk chalni ho jaati hai..Ishq ka tibaadla insaan se us ki
fana ka hai.aur yhi amar rooh ko pakeeza krne k lye yaqeeni hai..aur jo is
manzil tak phunch gya to samjho us ka baira paar.
Yeh mamlaat is qadar ajeeb tr hotay
challay jatay hain ,jahan bhut kuch kehne ki koshish mein kuch bhi nhe kaha
jaata aur kabhi kuch na kehne ki sae mein sb kuch sar zad ho jaata hai.pr
deewanay ki aur khirad se be gaanay ki barbaraahat ko wohi samagh paatay hain
jo waqif-e-raaz hon.
Aaj barson baad mein qudrat k khail se
roshnaas hua,jahan haqeeqat-e-makhfi ko paaya.najanay yeh qudrat bhi ishq mein
kaisay kaison ko apna hm raaz bna laite hai.woh shaks jis ne madrassay mein
chand safeh bhi kaalay nhe kiay hon ge.dor janglon mein weeranay mein bakrion
ka rawarh chara rha ho ga.ya yeh raaz us
pr ayan ho ga jo jog lye,dunya tyaag kr,jaaray ki sard raat mein,jhund k
neechay,barsaat mein apna tn mn bhigo rha ho ga.apni masti mein mast malang.sr
mast qalandar.
WAH RE QUDRAT TERAY KHAIL
Hm bhalla marsadiez mein sawaari karne
waalay aur lemozine mein farratay bharne waalay kahan in sb se waqif hn
ge?bhala hm log jo unchi emaarat pr kharray ho k ,hr neechay se guzarne walay
ko hiqarat ki nazron se daikhtay hain,bhala hm sb kahan in sb maamlat se aashna
hn ge?parties mein daaru peenay waalay ,nasha karne waalay .jo khud ko arzi
nashay aur mustaqil gunnah k boaj tallay daba laitay hain.woh kya jaanay
ishq-e-elahi k jam ka nasha,jis ko peenay se bhi pyaas nhe bhujti.woh tashna
kahan jae aur pee kr bhi kahan
jana????bs ird gird mein nasha tehleel honay lagta hai,fiza mein ek ajab
saroor,sur aur ley ki meethi si taqraar ka millan.
Mein naara-e-mastaana,mein shoq yeh rindaana.
Mein naara-e-mastaana,mein shoq yeh rindaana.
Us mastaanay k ander is qadar alau jo
jal jal kr aag mein kundan bna rha hai.jis ki agar zara brabar ramaq bhi bahar
niklay to woh sb kuch jala kr khaak satar kr de gi.koi bhi is toppish ki tab
nhe la sakta.
Ishq mein khud ko fana kr daina ,hr
manzar mein wehdat ka aks .mera ander vi tu,mera bahar vi tu.mainda ishq vi
tu,mainda yaar vi tu.mera mein vi tu,mera tu vi tu,ranjha ranjha kardi ni mein
aapay raanjha hoe.
Bs yhi manzil,yhi tamaam ibadaton aur
reazaton ka haasil hai,yhi lazawaal aur lamehdood haqeeqat hai.aur yhi sach
hai.
Bs yhi meray dill ka ehsaas aur kafiat
hai,yhi mera maazi aur yhi mera haal hai,yhi meray safar ka parao aur manzil
hai,mukhtasir yeh k yhi meri zndgi ka kul asaasa aur kul khulaasa hai.
(written by : Khaak )
No comments:
Post a Comment