This blog tends to reveal the mystry behind ishq(devine love) n depicts a picture in litral,philosophical and metaphorical meaning that overwhelms a reader with its true assence.
Yeh Galiyon ke aawaaraa bekaar kutte - Poem written by Faiz Ahmad Faiz
Tuesday, 25 October 2016
Yeh galiyon ke aawaaraa bekaar kutte
Ke bakshaa gayaa jinko zauq-e-gadaai,
Zamaane ki phatkaar sarmaayaa unkaa
Jahaan bhar ki dhatkaar unki kamaai.
Na aaraam shab ko na raahat sawere;
Ghilaazat mein ghar, naaliyon mein basere.
Jo bigde to ek doosare se ladaa-do;
Zaraa ek roti kaa tukdaa dikhaa-do.
Yeh har ek ki thokarein khaanewaale,
Yeh faaqon se uktaake mar jaanewaale,
Yeh mazloom makhlookh gar sar uthaa-e
To insaan sab sarkashi bhool jaaye.
Yeh chahein to duniyaa ko apnaa banaalein,
Yeh aaqaaon ki haddiyaan tak chabaadein.
Koi inko ehsaas-e-zillat dilaa-de,
Koi inki soyee hui dum hilaa-de. (by Faiz Ahmed Faiz)
ruh ki parwaz - istiqamat - consistency wins reward
Thursday, 22 September 2016
Na yeh baat zaat rang say hai na yeh baat chaal dhang say hai
Wednesday, 7 September 2016
Na yeh baat zaat rang say hai na yeh baat chaal dhang say hai
na maal o zar say hai wasta,
na jaah o hasham ki talab koi
na kisi nashy me wo bat hai
jo teri deed ki umang say hai
na yeh bat zaat rang say hai,
na yeh bat chaal dhang say hai
mohsin qaaim suhaag sada,
apnay pi kay sang say hai
[mian mohsin]
نا مال و زر سے ہے واسطہ
نا جاہ و حشم کی طلب کوئی
نا کسی نشے میں وہ بات ہے
جو تیری دید کی امنگ سے ہے
نا یہ بات زات رنگ سے ہے
نا یہ بات چال ڈھنگ سے ہے
محسن قائم سہاگ سدا
اپنے پی کے سنگ سے ہے
ٌْ(میاں محسن)
The Biggest DISEASE is HOPELESSNESS and the Biggest MEDICINE is SELF Confidence
Thursday, 25 August 2016
The Biggest DISEASE is HOPELESSNESS
and
the Biggest MEDICINE is SELF Confidence
[mian mohsin]
and
the Biggest MEDICINE is SELF Confidence
[mian mohsin]
khafa ho woh mujse to khud se rooth jata hon main
Thursday, 4 August 2016
kuch is taur se apna ta'aluq nib'hata hon main
khafa ho woh mujse to khud se rooth jata hon main
[mian mohsin]
khafa ho woh mujse to khud se rooth jata hon main
[mian mohsin]
You Can Get Priceless Happiness out of small acts - wisdom quotes
Thursday, 4 August 2016
Khuda Khair kary
Wednesday, 20 July 2016
Aurat aik azeem tuhfa e khuda'wandi
Wednesday, 20 July 2016
Aurat aik azeem tuhfa e khuda'wandi - orat - Woman is one of the biggest gifts ALLAH blessed to a MAN
Mohsin-e-khulq ka ek naam haleem b hai, jiske maeni hilm, bardasht aur burdbaari se kaam leny wala hain........
haalat o waqiyat ko un se barwaqat chutkaara paneyki taqat na hony se ki wja se jheelna sabar kehlata hai, lekin agr waqiyat ko badlny ki taqat b ho aur sabar b to usy bardaasht kaha jay ga aur sanaf e nazuk k andar sabar b rakha gya hai aur bardasht b
kaha jata hai k jahan geer badsha musawari ka fan paara dekh kr musawar pehchan lia krta tah, isi terha kuch log moseeqi sun kr mosiqar aur tehreer parh kr musanaf pehchan jaty hain
jb ek tasweer apny musawar , moseeqi ki dhun ek moseeqar aur tehreer apny musanaf ka pta bta skti hai to tmaam makhlooqat main zi sharaf -o-zu fazal makhlooq insaan k andar b usky khaliq ki nishaniyan parkhi ja skti hain
sanaf e nazuk ko khaliq ne ramooz e qudrat k aisy zewarat se arasta farmaya hai aur hairat o kashaf k aisy hathiyaron se lais farmaya hai k feham o farast k panchi, baqadar-e bisaat uraaan bharny k baad na samjhi k pinjry me muqeed ho jaty hain
jazba e sitaaish o tehseen jo har ek ka mutma e nazar hai aur har kaam k pechay dar haqeeqat kar farma hai, agr khaliq se mansoob ho to ibadat aur agr makhlooq k lye ho to muhabat ka roob dhaar leta hai
sanaf e nazuk k lye ye jazbaat khusoosi ehmiyat k hamil hain
aurat ko awaaz bataur moseeqi, wajood musawari ka behtreen fan para, aur lateef harakat o sakanat bataur tehreer, qudrat ki taraf se tahaif mily hain
aur aanso un k talism me mazeed izafa krny ka bais bnty hain
koi jarri bahadur ho, ya buzdil tareen shakhas, rooh ko sar shaar kr deny wali mahboob hasti ho ya rah-e-zindgi ko khatnaaiyon ki chaadar e khaar daar se pairaasta krny wala dushman, har ek k lye aurat muskurati hai
lekin jis k lye uski ye muskurahat ho, wohi jaan pata hai k ye laboon ki kushaadgi fakhriya thi ya tanziya
apny andar pasandeedgi ka ansar liye huy thi ya bs apny khayalat ko chupany k lye ek makarana hansi thi.
be paayan muhabat ya be inteha nafrat hi do aisi quwaten hain jo ek aurat ko toor skti hain
muhabat se tootny pr apna har johar apna har hunar apni mahboob hasti pr bila dareegh qurban krny wali aurat agr dushmani pr utar ay to apny hareef ka sb kuch cheen sakti hai, hata k uski sooch b
skoon b aur muskurahat b
maan k roop me aurat ko smjhny k lye itna hi kaafi hai, k koi kaisy aik aisi hasti ko smjh skta hai jis k bary likhty huy raaqam al haroof, aur parhty huye qaari be panah skoon me utar aye
raaz-daar-e-bar-haq ne mian bivi ko ek dosry ka libas hony ki khil'at bakhshi hai aur bila shuba libas hi hai wo hasti jis me gum ho kr koi apni tmaam hajaton ko pora kr le aur sary gham ghalat kr sky, apni kamzooriyan chupa sky aur khushiyan dikha sky
ek behan ko khushi b azab lagti hai agr uska bhai uska sahara khushiyon me shareek na ho
baitiyan aur shahzaadiyan dar asal ek hi roop k do naam hain, marad agr garhasti ka bad'shah hai to beti ek shahzaadi
algharaz aurat har roop, me aur har umar me qabil e sad ehtraam hai
aur ye haqeeqat hai k wajood e zan se hai kaiynaat me rang
[mian mohsin]
24-5-2010 12:00 PM
Other Search Terms for this article:
aurat aik azeem tuhfa e khuda, woman is one of the biggest gifts ALLAH blessed to a MAN, woman is the best friend of MAN, aurat aik raz, ramooz-e-aurat, satayesh e niswan, mysteries of women, mysterious woman
tu jo chahy to qatray ko dariya kar day - Hamd e bari ta'ala
Wednesday, 20 July 2016
Tu jo chaahy to qatray ko dariya kar day
aur jo chahy to samandar ka b qatra na rahy
dard e dil ki de de mjy daulat ya rab
aur phir doori ka b mujy koi khatra na rahy
[mian mohsin]
aur jo chahy to samandar ka b qatra na rahy
dard e dil ki de de mjy daulat ya rab
aur phir doori ka b mujy koi khatra na rahy
[mian mohsin]
boht kuch badal gayaa mohsin
Wednesday, 20 July 2016
Labels:
aankh,
barbaad,
berukhi,
boht kuch badal gaya mohsin,
chalo aik ham b sahi,
gham,
hijar,
ishq k hathon,
judai,
khushiyan,
majbor,
mizaj e yar,
purnam,
purnum,
sukoon
Na mi daanam Cheh manzil bood shab jay k man boodam
Thursday, 26 May 2016
na mi danam che manzil bood shab jay k man boodam
I don't know what was the place where I was at the previous night
ba har su raqs e bismil bood shab jay k man boodam
every where, half slaughtered hens (birds) were dancing at the place where I was last night
pari paikar nigaare, sarw qadde, laala rukhsaar e
samaan e har aafat e dil bood shab jaay k man boodam
face like fairy tales, suitable height, floswers like checks
each and everything which can kill a lover, was present , at the place where I was at last night
khuda khud meer-e-majlis bood, andr laa-makaan khusrou
muhammad Shama-e mehfil, bood shab jaay k man boodam
God himself is the judge of the ceremony of the universe, and the life of that ceremony is MUHAMMAD (blessings and peace be upon him) at the place where I was last night
raqs = dance
bismil = aisa murgh jis ko half zibah kr k choor diya gya ho, aur jo us wqt uska tarapna, pharkna hota hai, ek ashiq ki official condition yehi hoti hai
bismil = aisa murgh jis ko half zibah kr k choor diya gya ho, aur jo us wqt uska tarapna, pharkna hota hai, ek ashiq ki official condition yehi hoti hai
A famous Kalam by Hazrat Ameer Khusro (R.A)
presented by: mian mohsin]
Special VS Ordinary - A unique point of view
Tuesday, 24 May 2016
Special VS Ordinary - A unique point of view
"having some unique feature is something ordinary in all the special things,
while
all the ordinary things have a specialty that they don't have anything even"
Russ na saanwal yaar Mudataan beet gaiyan Kalam khawaja Ghulam Farid by Syed zabeeb masood and Khalid Hussnain Khalid
Thursday, 12 May 2016
Russ na saanwal yaar Mudataan beet gaiyan Kalam khawaja Ghulam Farid by Syed zabeeb masood and Khalid Hussnain Khalid
Naina Roye by Massoma Anwar Maalik Movie, full song
Tuesday, 3 May 2016
Naina Roye by Massoma Anwar Maalik Movie, full song:
Khud Shanaasi Hazaar naiymat hai
Tuesday, 3 May 2016
Ya nabi Salam alaika, Beautiful Salam by Syed Zabeeb Masood, Khalid Hassanain Khalid, Sarwar Hussain Naqashbandi
Thursday, 28 January 2016
Ya nabi Salam alaika, Beautiful Salam by Syed Zabeeb Masood, Khalid Hassanain Khalid, Sarwar Hussain Naqashbandi:
Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika
Habeebi ya Rasool ALLAH (sall-allah-ho-alaihi-wa-ala-aali-hi-wa-sahbihi-wabaarik-wassalam) Aaqa
Dil ko raas bhi tumhi ho
gham shanaas bhi tumhi ho
dil ki aas bhi tumhi ho
dil kay pass bhi tumhi ho
Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika
Teri justaju me jeena
teri aarzu me marna
yehi meri zindagi hai
yehi meri bandagi hai
Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika
Rahmatoon kay taaj waaly
do jahan kay raaj waaly
arash ki mairaaj waaly
aasiyon ki laaj waaly
Ya nabi salam alaika
ya Rasool Salam alaika
Ya habeeb Salam alaika
salawat-ullah alaika
har aan ki har shaan ki hain jaan Muhammad (BPBUH)
Wednesday, 20 January 2016
Har aan ki har shaan ki hain jaan MUHAMMAD (BPBUH)
hai bhala kon, nahi jis kay sultan MUHAMMAD (BPBUH)
karty hain jo yaad unko har cheez say zyada
dety hain unko aisa faizaan MUHAMMAD (BPBUH)
dil o jaan to rehty hain munawar unke
aur ban jaty hain unki pehchan MUHAMMAD (BPBUH)
ghar baar hain mu'atar aisy khushbu se inke
ban jain jo inke mehmaan MUHAMMAD (BPBUH)
kion ghabray naar e jahanum say ummati unka
shafee hain apny jab mohsin-e-insaan MUHAMMAD (BPBUH)
(mian mohsin)
21-05-2007
hai bhala kon, nahi jis kay sultan MUHAMMAD (BPBUH)
karty hain jo yaad unko har cheez say zyada
dety hain unko aisa faizaan MUHAMMAD (BPBUH)
dil o jaan to rehty hain munawar unke
aur ban jaty hain unki pehchan MUHAMMAD (BPBUH)
ghar baar hain mu'atar aisy khushbu se inke
ban jain jo inke mehmaan MUHAMMAD (BPBUH)
kion ghabray naar e jahanum say ummati unka
shafee hain apny jab mohsin-e-insaan MUHAMMAD (BPBUH)
(mian mohsin)
21-05-2007
tu sab saharon ka hy sahara
Wednesday, 20 January 2016
tere hoty huy ham khaali nahi hain
tu sab saharon ka hai sahara
deen o dunya ki sarfarazi hogi muqadar apna
MUSTAFA (BPBUH) jo keh den k tu hai hamara
han main jaon ga madinay ik bar to zaroor
mujh ko sapnon me dia mere ishq ne ishara
jan e janat hain madinay ki wo piyari galiyan
jin me basny ko tarasta hai naseeba hamara
sari ummat me ho yak'jaie to milay shun'waie mohsin
ehle dard, ehle nazar sab ka yehi ek ho naara
(mian mohsin)
tu sab saharon ka hai sahara
deen o dunya ki sarfarazi hogi muqadar apna
MUSTAFA (BPBUH) jo keh den k tu hai hamara
han main jaon ga madinay ik bar to zaroor
mujh ko sapnon me dia mere ishq ne ishara
jan e janat hain madinay ki wo piyari galiyan
jin me basny ko tarasta hai naseeba hamara
sari ummat me ho yak'jaie to milay shun'waie mohsin
ehle dard, ehle nazar sab ka yehi ek ho naara
(mian mohsin)
dukhan pari hayaati wichon
Wednesday, 20 January 2016
Chal Piyaa ky Des Piyaari, written by mian mohsin
Tuesday, 19 January 2016
Chal Piyaa ky Des Piyaari
Chal piya ky des piyaari , kab tk rahy gi mehmaan
laakhon roop bataay bhi, wo nahi tujh se anjaan
chal piya ky des piyaari...............
Sau Sau sapny dekhy jis ky , tan man us py daan
ik jhalak dikhla ja mohy, piya main tujh pe Qurban
chal piya ky des piyaari................
Batiyaan jalaawat, agar rachaawat, sau sau karat samaan
dil ki saij sajawat ry piya, ab aan karo farmaan
chal piya ky des piyaari............
main bhuli bhat'ki, phirat rahi , tosay ban kr chali anjaan
sham dhlat mohy pta chalat, moray sang raht tu sara jahan
chal piya ky des piyaari...............
tori deed karat, mori laaj rakhat, naahi mujh me gun na giyaan
mohy sath rakhat, bin tory lagat ab mujh ko ye jag sunsaan
Chal Piyaa ky Des Piyaari
( mian mohsin )
Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat Taajdar-e-ins-o-deen Urdu Naat
Tuesday, 19 January 2016
Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat Taajdar-e-ins-o-deen
dast-basta ham khary hain ay mere maah-e-mubeen
jo khataain hm se huien touba karty hain unse ham
do shifa har marz se ay dafie-al-bala-o-ranj-o-gham
dar tmhara dekhny aayen sab mil kar ham
hmko izn-e-haazri de do mere shah-e-umam
deen-o-duniya me tera daaman rahy hm ko naseeb
rashk-e-shahaan-e-jahaan hy tere dar ka adna ghareeb
apni aur apny piyaron ki muhabbat say hmeen sarshaar kr
apny rang me rang ky hm ko, rang-e-duniya se be-zaar kr
Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat Taajdar-e-ins-o-deen
Arz Guzaar
(mian mohsin)
dast-basta ham khary hain ay mere maah-e-mubeen
jo khataain hm se huien touba karty hain unse ham
do shifa har marz se ay dafie-al-bala-o-ranj-o-gham
dar tmhara dekhny aayen sab mil kar ham
hmko izn-e-haazri de do mere shah-e-umam
deen-o-duniya me tera daaman rahy hm ko naseeb
rashk-e-shahaan-e-jahaan hy tere dar ka adna ghareeb
apni aur apny piyaron ki muhabbat say hmeen sarshaar kr
apny rang me rang ky hm ko, rang-e-duniya se be-zaar kr
Sarwar-e-Kishwar-e-Rissaalat Taajdar-e-ins-o-deen
Arz Guzaar
(mian mohsin)
Asal Cheez Muhabbat hai - Paighaam e tassawuf
Thursday, 14 January 2016
Asal cheez muhabbat hai - Paighaam e tassawuf:
asal cheez muhabbat hy
usi muhabbat se ALLAH ne hmari rooh paida
ki
hmari rooh ko ALLAH ka qurb hasil tha
iblees ko ye baat ek aankh nahi bhaati thi
alastu bi rabikum k jawab me balaa kehny k
baad
hmaari muhabat ko parakhny k lye
rooh ko jasad-e-khaaki me muqeed kia gya
hme zameen p utaar kr hijar me mubtila kiya
gya
ta k pta chly kis rooh ki muhabat phir se
joosh maarti hy, wapasi ki rah dekhti hy
kon bhool bhaliyon me, rangeeniyon me
khooya rehta hai
ham beshumaar baaton, dhandhoon ki bhool
bhalaiyon me uljhaay gye,
iblees ne b kamar kas li k is khaaki insaan
ko itni fursat hi nahi muyasar hony donga
k
usme muqeed roh apny mahboob ko pehchan skay aur uski trf jaa pay
lekin ye sb muhabat berhaany k tareeqy thy
bhool-bhulaiyon me uljhy huown ko manzil tk
le jany k lye boht se haadi bheejy gye
kis ne bhejy
wohi jo mahboob hy
wohi jo maqsood hy
wohi jo matloob hy
phir us ne unko hadi bna k bheja
wohi jo uska mahboob hy
wohi jo uska mahmood hy
jin logon ne apni marziyon aur tabiyatoon
ko usky hukam k taabey kia wo manzil tk pohnchny lgy
aur jo us mahboob-e-mahboob-e-haqeeqi, ki
be-adabi k murtakib huy, wo na to manzil pa sky
na muhabat k raz smjh sky aur na un
bad'nseebon ko skoon muyasar hua
dar-asal wo ye samjh na skay k agr sirf
aamaal se nijaat hoti to iblees ruy-e-zameen k chapy chapy pr
sar-ba-sajood reh kr b mardood q hua
bara zoum tha usko b, k wo khuda se
muhabbat krta hai, aur sirf usi se krta hy
dar haqeeqat wo apny un aamaal k girdaab me
phansy rhty hain jin se kahen ziada aamaal iblees k paas thy,
us k pas boht ibaadat thi, lekin us ne adam
ko ALLAH ka diya hua muqaam qabool krny se inkar kia, nateejatan mardood thehra
in k paas kitni ibaadat hy, kitni riyazat
hy, aur ye mahboob-e-khuda ko ALLAH ki ata karda shaan k inkaari hain nateeja kiya hoga...........
baat sirf itni hy, adab kro, itibaa kr sko
ge, itibaa kro ge to manzil pa jao ge jo k uska rasta, uski muhabbat hy
asal cheez muhabat hai
muhabbat me itaa'at na ho to sirf daawa
aur
itaa'at me muhabbat na ho to niraa dhoong,
sawaang, behroop
nijat sirf muhabbat me hy....
q k
asal cheez muhabat hai
1-14-2016, 3:13 PM
Paighaam-e-tassawuf
Mian mohsin
Subscribe to:
Posts (Atom)