Pages

Aurat aik azeem tuhfa e khuda'wandi

Wednesday, 20 July 2016

Aurat aik azeem tuhfa e khuda'wandi - orat - Woman is one of the biggest gifts ALLAH blessed to a MAN


Mohsin-e-khulq ka ek naam haleem b hai, jiske maeni hilm, bardasht aur burdbaari se kaam leny wala hain........
haalat o waqiyat ko un se barwaqat chutkaara paneyki taqat na hony se ki wja se jheelna sabar kehlata hai, lekin agr waqiyat ko badlny ki taqat b ho aur sabar b to usy bardaasht kaha jay ga aur sanaf e nazuk k andar sabar b rakha gya hai aur bardasht b

kaha jata hai k jahan geer badsha musawari ka fan paara dekh kr musawar pehchan lia krta tah, isi terha kuch log moseeqi sun kr mosiqar aur tehreer parh kr musanaf pehchan jaty hain
jb ek tasweer apny musawar , moseeqi ki dhun ek moseeqar aur tehreer apny musanaf ka pta bta skti hai to tmaam makhlooqat main zi sharaf -o-zu fazal makhlooq insaan k andar b usky khaliq ki nishaniyan parkhi ja skti hain

sanaf e nazuk ko khaliq ne ramooz e qudrat k aisy zewarat se arasta farmaya hai aur hairat o kashaf k aisy hathiyaron se lais farmaya hai k feham o farast k panchi, baqadar-e bisaat uraaan bharny k baad na samjhi k pinjry me muqeed ho jaty hain
jazba e sitaaish o tehseen jo har ek ka mutma e nazar hai aur har kaam k pechay dar haqeeqat kar farma hai, agr khaliq se mansoob ho to ibadat aur agr makhlooq k lye ho to muhabat ka roob dhaar leta hai

sanaf e nazuk k lye ye jazbaat khusoosi ehmiyat k hamil hain
aurat ko awaaz bataur moseeqi, wajood musawari ka behtreen fan para, aur lateef harakat o sakanat bataur tehreer, qudrat ki taraf se tahaif mily hain
aur aanso un k talism  me mazeed izafa krny ka bais bnty hain
koi jarri bahadur ho, ya buzdil tareen shakhas, rooh ko sar shaar kr deny wali mahboob hasti ho ya   rah-e-zindgi ko khatnaaiyon ki chaadar e khaar daar se pairaasta krny wala dushman, har ek k lye aurat muskurati hai
lekin jis k lye uski ye muskurahat ho, wohi jaan pata hai k ye laboon ki kushaadgi fakhriya thi ya tanziya

apny andar pasandeedgi ka ansar liye huy thi ya bs apny khayalat ko chupany k lye ek makarana hansi thi.

be paayan muhabat ya be inteha nafrat hi do aisi quwaten hain jo ek aurat ko toor skti hain
muhabat se tootny pr apna har johar apna har hunar apni mahboob hasti pr bila dareegh qurban krny wali aurat agr dushmani pr utar ay to apny hareef ka sb kuch cheen sakti hai, hata k uski sooch b
skoon b aur muskurahat b


maan k roop me aurat ko smjhny k lye itna hi kaafi hai, k koi kaisy aik aisi hasti ko smjh skta hai jis k bary likhty huy raaqam al haroof, aur parhty huye qaari be panah skoon me utar aye

raaz-daar-e-bar-haq    ne mian bivi ko ek dosry ka libas hony ki khil'at bakhshi hai aur bila shuba libas hi hai wo hasti jis me gum ho kr koi apni tmaam hajaton ko pora kr le aur sary gham ghalat kr sky, apni kamzooriyan chupa sky aur khushiyan dikha sky
ek behan ko khushi b azab lagti hai agr uska bhai uska sahara khushiyon me shareek na ho
baitiyan aur shahzaadiyan dar asal ek hi roop k do naam hain, marad agr garhasti ka bad'shah hai to beti ek shahzaadi
algharaz aurat har roop, me aur har umar me qabil e sad ehtraam hai
aur ye haqeeqat hai k wajood e zan se hai kaiynaat me rang



[mian mohsin]
24-5-2010   12:00 PM

Other Search Terms for this article:
aurat aik azeem tuhfa e khuda, woman is one of the biggest gifts ALLAH blessed to a MAN, woman is the best friend of MAN, aurat aik raz, ramooz-e-aurat, satayesh e niswan, mysteries of women, mysterious woman

No comments:

Post a Comment